Baitha hua akela
chanda ki chandni me
khyalo ko pirota mai,
ye sochta hu
meri kalpanao ki udaan kitni suhani hai
par haqeeqat se itne pare kyu hai
mere sapno sa vishal ye aasmaan
kitna khoobsurat hai
pankh hote to inme gote lagata
ye jo mand mand hawa beh rahi hai
chirata hua inko, mai udata hi jata
meri anginat khawahisho ke jaise
ye tare bhi nabh me timtima rahe hai
meri har ek tamannao ke jaise
ye tare bhi mujhe bade dur lag rahe hai
aur mai, ek bar fir asmanjas me hu
kis tare ko chulu, kis khawab ko pura karu
sayad meri kalpanao ki udaan haqeeqat se
itni pare bhi nahi hai
chanda ki chandni me
khyalo ko pirota mai,
ye sochta hu
meri kalpanao ki udaan kitni suhani hai
par haqeeqat se itne pare kyu hai
mere sapno sa vishal ye aasmaan
kitna khoobsurat hai
pankh hote to inme gote lagata
ye jo mand mand hawa beh rahi hai
chirata hua inko, mai udata hi jata
meri anginat khawahisho ke jaise
ye tare bhi nabh me timtima rahe hai
meri har ek tamannao ke jaise
ye tare bhi mujhe bade dur lag rahe hai
aur mai, ek bar fir asmanjas me hu
kis tare ko chulu, kis khawab ko pura karu
sayad meri kalpanao ki udaan haqeeqat se
itni pare bhi nahi hai
Its amening
ReplyDelete