Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2010

Kalpanao ki udaan

Baitha hua akela chanda ki chandni me khyalo ko pirota mai, ye sochta hu meri kalpanao ki udaan kitni suhani hai par haqeeqat se itne pare kyu hai mere sapno sa vishal ye aasmaan kitna khoobsurat hai pankh hote to inme gote lagata ye jo mand mand hawa beh rahi hai chirata hua inko, mai udata hi jata meri anginat khawahisho ke jaise ye tare bhi nabh me timtima rahe hai meri har ek tamannao ke jaise ye tare bhi mujhe bade dur lag rahe hai aur mai, ek bar fir asmanjas me hu kis tare ko chulu, kis khawab ko pura karu sayad meri kalpanao ki udaan haqeeqat se itni pare bhi nahi hai